Ali K Sath Hai Zahra Ki Shadi
Sabh Khush Hain Khudai Bhi Khuda Bhi
Larka Hai Khuda K Ghr Ka Larki Hai Nabi K Ghr Ki
Wo Arzo Sama Ka Malik Ye Malkaye Bahro Br Ki
Zamee Rqsa Hai Rqsa Asma Bh
Haidar Hain Kule Eema Or Kule Asmt Zahra
Us Sr Pe Wafa Ka Sehra Is Sr Pe Haya Ka Sehra
Wo Shehzada Hai Or Ye Shehzadi
Kheti Ne Bachaya Sbza Sooraj Ne Ujaly Bante
Khud Daste Khuda Ne Shab K Anchal Pe Sitare Tanke
Huwi Rangi Jo Thiii Tasweer Sadi
Bola Ye Khuda Har Janib Rahmt Ki Ghata Brsay Gi
Jo Bughz Se Bnjar Hogi B’s Wohi Zamee Tarse Gi
Utho Jibrail Ye Kr Do Manadi
Barat Chali Haidar Ki Rahmat K Saye Saye
Barat K Agay Agay Quran Qaseede Gaye
Saray Chale Bn Kr Barati
Tohfe Mai Milay Mai Kese Unhe Kosar Or Jannat Ko
Ye Sara Namak Or Paani Haq Mehar Mila Zahra Ko
Salami Mai Mili Marzi Khuda Ki
Qudrat Ki Taraf Se Inko Abh Tohfe Or Milenge Kal Inky Hasee Angan Mai Wo Asli Phool Khilenge
Hasee Shajre Jinhe Denge Salami
Ab Chahe Koi Bharky Ab Chahy Koi Tarpy
Ab Meri Bala Se Chahe Marjaye Koi Jal Jal K
Khushi Ki Bat Thiii Mai Ne Suna Di
Kese Ho Baya Wo Manzar Jb Khatam Huwi Sb Rasmai
Konen Ki Har Shay Gohar Kehti Thi Kha Kr Qasmai
Mubarak Hai Mubarak Hai Ye Shadi