Al-Aman Qehar Hai Ae Ghous woh Teekha Tera Lyrics
Al-aman qehar hai ae ghaus woh teekha tera
Mar ke bhi chain se sota nahi mara tera
Baadalon se kahin rukti hai karakti bijli
Dhaalen chant jati hain tegha hai jo tegha tera
Aks ka dekh ke mnh aur biphar jata hai
Chaar aaina ke bil ka nahi neza tera
Koh e sar mukh ho to ik waar mein do par kalay
Haath parta hi nahi bhool ke oocha tera
Is pay yeh qehar ke ab chand mukhalif tairay
Chahtay hain ke ghata den kahin paya tera
Aql hoti to khuda se nah larai letay
Yeh ghatain usay manzoor barhana tera
Waraf’ana lacka zikrar ka hai saya tujh par
Bol baala hai tera zikr hai ooncha tera
Mit gaye mittay hain mit jayen ge aada tairay
Nah mitta hai nah mite ga kabhi charcha tera
Too ghtaye se kisi ke nah ghata hai nah ghutay
Jab bherhaye thuje allah taala tera
Samm qaatil hai khuda ki qisam unn ka inkar
Munkir fazl huzoor aah yeh likha tera
Meer siyaf ke khanjar se thuje baak nahi
Cheer kar dekhe koi aah kaleja tera
Ibn-e zeher usay tre dil mein hain yeh zeher bharay
Bal be o munkir be baak yeh zohra tera
Baz ashhab ki ghulami se yeh ankhen phirni
Dekh urr jaye ga imaan ka tota tera
Shaakh par baith ke jarr katnay ki fikr mein hai
Kahin neecha nah dukhaay thuje shijra tera
Haq se bad ho ke zamana ka bhala bantaa hai
Arrey mein khob samjhta hon moima tera
Sag e dar qehar se dekhe to bikharta hai abhi
Band bande badan ae roo bah duniya tera
Gharz aaqa se karoon arz ke teri hai panah
Bandah majboor hai khaatir pe hai qabza tera
Hukam nafiz hai tera khamah tera saif teri
Dam mein jo chahay kere doori hai shaha tera
Jis ko lalkaar day aata ho to ulta phir jaye
Jis ko chamkaarle har phir ke woh tera tera
Knjyan dil ki kkhuda ne thuje den aisi kar
Ke yeh seenah ho mohabbat ka khazina tera
Dil pay kunda ho tra naam ke woh duzderajim
Ultay hi paaon phiray dekh ke tughra tera
Naz’a mein, goar mein, meezan pay, sare pul pay kahin
Nah chutay haath se daman e mualla tera
Dhoop mehshar ki woh jaan soaz qayamat hai magar
Mutmain hun ke mere sir pay hai pilla tera
Behijt is sar ki hai jo ‘bahjat ul asraar’ mein hai
Ke falak waar mureedon pay hai saya tera
Ae raza chaist gham aur jumla jahan dushman tust
Kardah amm ma man e khud qibla e haja te ra