Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Hain Anwar Ayrhiyan Lyrics
Aariz e shams o qamar se bhi hain anwar ayrhyan
Arsh ki aankhon ke tarre hain woh khushter ayrhyan
Ja baja parto figan hain aasmaa par ayrhyan
Din ko hain khurshid shab ko mah o akhtar ayrhyan
Najam gurdon to nazar atay hain chhootey aur woh paaon
Arsh par phir kyun nah hon mehsoos lagar ayrhyan
Dab ke zair pa nah gnjaysh samane ko rahi
Ban gaya jalva kaf e pa ka aubhar kar ayrhyan
Unn ka mangta paaon se thukra day woh duniya ka taaj
Jis ki khatir mar gaye mun’am ragar kar ayrhyan
Do qamar , do panja e khor , do setaaray, das hilal
Un ke talway, punjay, naakhun, paye ather ayrhyan
Haae is pathar se is seenah ki qismat phooyeay
Be takalouf jis ke dil mein yun karen ghar ayrhyan
Taaj rooh al-qudus ke moti jisay sajda karen
Rakhti hain wallah pakeeza gohar ayrhyan
Aik thokar mein ahad ka zalzala jata raha
Rakhti hain kitna waqar allah akbar ayrhyan
Charkh par charhtay hi chandi mein siyahi aa gayi
Kar chuki hain badar ko taksaal bahar ayrhyan
Ae raza tofan e mehashar ke talatum se nah dar
Shaad ho! Hain kshti e ummat ko langar ayrhyan