Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noor e Baari Hijaab Mein Hai Naat Lyrics
Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noor e Baari Hijaab Mein Hai Naat Lyrics
Utha do parda dikha do chehra ke noor e baari hijaab mein hai
Zamana taareek ho raha hai ke mohar kab se naqaab mein hai
Nahi woh meethi nigah wala khuda ki rehmat hai jalwa farma
Gazab se un ke khuda bachaaye jalal e baari atab mein hai
Jali jali boo se uss ki peda hai soozish ishq e chashm wala
Kabaab ahu mein bhi nah paaya maza jo dil ke kabaab mein hai
Unhi(n) ki boo maya e suman hai unhen ka jalwa chaman chaman hai
Unhi(n) se gulshan mehak rahay hain unhen ki rangat ghulaab mein hai
Teri jalw mein hai maah e taiba halal har marg o zindagi ka !
Hayaat jaa(n) kaar kaab mein hai mamaat a’ada ka daab mein hai
Siya libaasan e daar duniya o sabz pooshaan e arsh aala
Har ik hai un ke karam ka spiyasa yeh faiz unn ki janab mein hai
Woh gul hain lab haae naazuk un ke hazaron jhartay hain phool jin se
Ghulaab gulshan mein dekhe bulbul yeh dekh gulshan ghulaab mein hai
Jali hai soaz jigar se jaan tak hai taalib jalwa e mubarak
Dikha do woh lab ke aabb haiwaa(n) ka lutf jin ke khitaab mein hai
Kharray hain munkar nakeer sar par na koi haami nah koi yawar !
Bata do aakar mere peyambar ke sakht mushkil jawab mein hai
Khuda e qahhar hai gazab par khule hain badkaariyo(n) ke daftar
Bacha lau aakar shaf’i e mehshar tumhara banda azaab mein hai
Kareem aisa mila ke jis ke khule hain haath aur bharay khazanay
Bataao ae muflisoo! Ke phir kyun tumhara dil iztiraab mein hai
Gunah ki tareekiyan yeh chae(n) umand ke kaali ghatain ayen
Khuda ke khurshid mohar farma ke zarraa bas iztiraab mein hai
Kareem apne karam ka sadqa laeem be qadar ko na sharmaa
Too aur raza se hisaab lena raza bhi koi hisaab mein hai