Muhammad Mazhar Kaamil Hai Haq Ki Shan e Izzat Ka with Lyrics
Muhammad Mazhar Kaamil Hai Haq Ki Shan e Izzat Ka with Lyrics
Mohammad mazhar kaamil hai haq ki shan e izzat ka
Nazar aata hai iss kasrat mein kuch andaaz wahdat ka
Yahi hai asal aalam madah ijaad khalqat ka
Yahan wahdat mein barpaa hai ajab hungama kasrat ka
Gadda bhi muntazir hai khuld mein naikon ki dawat ka
Khuda din kher se laaye sakhi ke ghar ziyafat ka
Gunah maghfor, dil roshan, khunak ankhen, jigar thanda
Taala allah ! Mah tayyiba aalam teri talat ka
Nah rakhi gul ke josh e husn ny gulshan main ja baaqi
Chatakta phir kahan ghuncha koi bagh risalat ka
Barha yeh silsila rehmat ka doori zulff wala mein
Tasalsul kalay kosoon reh gaya isyaan ki zulmat ka
Saf e maatam uthay, khaali hoon zinda, tooten zanjeeren
Gunahgaroon! Chalo moola nay dar khoola hai jannat ka
Sikhaya hai ye kis gustakh nay aaina ko ya rab
Nazzarah roye janaan ka bahana kar ke herat ka
Idher ummat ki hasrat par udher khaaliq ki rehmat par
Nirala tore hoga gardish-e chasham shafaat ka
Barhain iss darja moajain kasrt afzal e wala ki
Kinara mil gaya is neher se dareaye wahdat ka
Khham zulff nabi sajid hai maharab do abrow mein
Ke yarab to hi wali hai siya karan ummat ka
Madad ae joshish e giryaa baha day koh aur sehraa
Nazar aa jaye jalva be hijaab is pak tُrbt ka
Hue kamkhuabi hijran mein saton parday kamkhuabi
Tasawwur khoob bandha aankhon nay astaar e turbat ka
Yaqeen hai waqt e jalva lagzishen paye ngah paye
Miley josh safaey jism se paboos hazrat ka
Yahan chirhka namak wahan marham kafoor haath aaya
Dil zakhmi namak parwardah hai kis ki malahat ka
Ellahi muntazir hon woh khiraam e naz farmaen
Bicha rakha hai farsh aankhon nay kamkhuwab e basarat ka
Nah ho aaqa ko sajda adam o yousuf ko sajda ho
Magar sad zaraye daab hai apni shariat ka
Zabaan khaar kis kis dard se unn ko sonaati hai
Tarapna dasht tayyiba mein jigar afgaar furqat ka
Sirhaane un ke bismil ke yeh betabi ka maatam hai
Sheh kusar tarham tishna jata hai ziyarat ka
Jinhen mar qad mein taa hashar ummati keh kar pukaro ge
Hamein bhi yaad kar lo unn mein sadqa apni rehmat ka
Woh chmkin bijliyan yarab tajallehaay janaan se
Ke chasham tor ka surma ho dil mushtaq royat ka
Razaey khasta! Josh behar isyaan se nah ghabraana
Kabhi to haath aajay ga daman unn ki rehmat ka