Naat Lyrics

Sab Se Aola o Aala Hamara Nabi Naat Lyrics

Sab Se Aola o Aala Hamara Nabi Naat Lyrics

Sab Se Aola o Aala Hamara Nabi Naat Lyrics, Bekasoon ka sahara hamara nabi, Hamara Nabi Naat lyrics

Sab se aola o aala hamara nabi

Sab se baala o wala hamara nabi

Apne maula ka pyara hamara nabi

Dono aalam ka dulha hamara nabi

Bazm e aakhir ka shama faroza(n) huwa

Noor awwal ka jalwa hamara nabi

Jis ko shayaan hai arsh khuda par juloos

Hai woh sultan e wala hamara nabi

Bujh gayeen jis ke agay sabhi mashalen

Shama woh le kar aaya hamara nabi

Jis ke talwon ka dhowan hai aab e hayaat

Hai woh jaan e maseehaa hamara nabi

Arsh o kursi ki theen aaina bandya(n)

Soye haq jab sdhara hamara nabi

Khalq se aolia aolia se rasal

Aur rasoolon se aala hamara nabi

Husn khata hai jis ke namak ki qisam

Woh malih dil aara hamara nabi

Zikr sab pheekay jab taq nah mazkoor ho

Namkeen husn wala hamara nabi

Jis ki do boond hain kausar o salsabeel

Hai woh rehmat ka darya hamara nabi

Jaisay sab ka khuda aik hai waisay hi

Un ka unn ka tumhara hamara nabi

Qrno(n) badli rasoolo(n) ki hoti rahi

Chaand badli ka nikla hamara nabi

Kon deta hai dainay ko munh chahiye

Dainay wala hai sacha hamara nabi

Kya khabar kitney tare khulay chup gaey

Par nah doobe nah dooba hamara nabi

Mulk e konain mein anbia tajdar

Tajdaaro(n) ka aaqa hamara nabi

Laa makaa(n) taq ujala hai jis ka woh hai

Har makan ka ujala hamara nabi

Saaray achoon mein acha samjhiye jisay

Hai uss achhhe se acha hamara nabi

Saaray unchoo(n) mein uncha samajhiye jisay

Hai uss unche se uncha hamara nabi

Anbia se karu(n) arz kyun maaliko !

Kya nabi hai tumhara hamara nabi

Jis nay tukray kiye hain qamar key wo hai

Noor wahdat ka tukraa hamara nabi

Sab chamak walay ujloo(n) mein chamka kiye

Andhay sheeshon mein chamka hamara nabi

Jis nay murdah dilo(n) ko di umar abad

Hai woh jaan e masiihaa hamara nabi

Ghamzado(n) ko raza muzda dejiay ke hai

Bekasoo(n) ka sahara hamara nabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button