Naat Lyrics

Gham Ho Gaye Be Shumaar Aaqa Naat Lyrics

Gham Ho Gaye Be Shumaar Aaqa Naat Lyrics

Gham Ho Gaye Be Shumaar Aaqa Naat Lyrics,ghum hogaye aaqa, aaqa aajaiye

Gham ho gaye be shumaar aaqa

Bandah tairay nisar aaqa

Bigra jata hai khail mera

Aaqa aaqa sanwaar aaqa

Manjhdhar pay aa ke naao tooti

Day haath ke hoon mein paar aaqa

Tooti jati hai peeth meri

Lillah yeh boojh utaar aaqa

Halka hai agar hamara palla

Bhaari hai tera waqar aaqa

Majboor hain hum to fikr kya hai

Tum ko to hai ikhtiyar aaqa

Mein door hon tum to ho mِre paas

Sun lo meri pukaar aaqa

Mujh sa koi ghumzdaa nah hoga

Tum sa nahi gham gsar aaqa

Gardaab mein par gayi hai kashti

Dooba dooba, utaar aaqa

Tum woh ke karam ko naz tum se

Mein woh ke badi ko aar aaqa

Phir mnh nah parre kabhi khizaa ka

Day day aisi bahhar aaqa

Jis ki marzi kkhuda nah talaay

Mera hai woh namdar aaqa

Hai malk e khuda pay jis ka qabza

Mera hai woh ka magaar aaqa

Soya kiye na bakaar bande

Roya kiye zaar zaar aaqa

Kya bhool hai un ke hotay kehlayen

Duniya ke yeh tajdar aaqa

Unn ke adna gadda pay mit jayen

Aisay aisay hazaar aaqa

Be abre karam ke mere dhabby

Laa taghsiluhalbihar aaqa

Itni rehmat raza pay kar lo

Laa yaqrubuhulbawar aaqa

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button